Dosto hum jo bhi khate hain wo hamare pet se hokar chhoti aant me pahunchta hai or chhoti aant se khoon me pahunch kr pure sharir me fail jata hai, lekin yaha samajhne wali bat ye hai ke har khane ki chijon me VITAMIN or minirals ki sahi matra nhi payi jati or islie khan pan me ki gayi galatiyo ki wajah se kai bar pet to bhar jata hai lekin sharir me jaruri nutrients ki kami hone lagti hai or jiski wajah se dhire Dhire sharir kai sari bimari ka shikar hone lagta hai...VITAMINS OR MINIRALS hamare sharir ke lie ESSENTIAL NUTRIENT hota hai islie hume ise apne khono ke jarye pura karna bahot jaruri hota hai kyun ki ye Hamare pure sharir ke alag alag ango ko thik trah se kam karne or sharir ko kai trah ki bimariyon se bachane me bhi bahot madad karta hai...lekin aksar logo ko ye pta hi nhi hota ke kis khane me kon VITAMIN paye jate hai or sharir me kis nutrients ki kami hone se konsi samasya shuru ho sakti hai lekin achhi bat ye hai ke jab bhi hamare sharir me kisi bhi VITAMIN ya Minirals ki kami hoti hai to badi bimari aane se pehle hamara sharir chhote chhote sanket dekar apne ander horhi halchal ke bare me batane ki koshish karta hai jise jyadatar log bahot hi sadharan samajh kar dekhte hue bhi andekha kar dete hain islie aaj ke is video me hum 45 aise lakshano ke bare me janenge joki sharir me VITAMIN or miniral ki kami hone se hamara sharir alag alag trah se batane ki koshish karta hai...or sath me ye bhi janenge ke ki kis chij ko khane se is kami ko dur kiya ja sakta hai... Shuru karte hain no..1 se Dosto brush karte wakt ya koi sakht chij khate wakt masudo se khoon aana...jodo me dard , sharir or chehre ki skin rakhi bejan or dhili padna sharir me VITAMIN c ki kami ke sanket hosakte hain kyun ki VITAMIN C ek achha anti oxidant hone ke sath sath ye hamare sharir me collagen produce karta hai ye ek trah ka protein hota hai joki ki jodo me or hamari skin ki upri layer me sabse jyada maujood hota hai ye damage hui skin ko repair karta hai or haddiyon ke bich collagen tissue ko maintain rakhne me bahot madad kata hai.... or itna hi nhi VITAMIN C hamare sharir me iron ko thik se absorb hone ke lie bhi bahot jaruri hota hai Amla , nimbu , santra or amrud VITAMIN C ka achha source hai islie inme se kisi ek ko aap apne daily diet me shamil jarur karen...
Yaha se dekhe Pimple ka sahi ilaj ( Part 1 to 5 )
DISCLAIMER : the information provided on this channel and its video is for educational purpose only and shouldn't to be considered as professional advice.
Copyright Disclaimer under section 107 of the copyright act 1976 allowance is made for "fair use" for purpose such as criticism, comment, new reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favour .
Khana khane ka sahi tarika,Unani nuskhe,Vitamin ki kami,Vitamin deficiency symptoms,Zinc ki kami ke lakshan,
0 Comments